Thursday, November 11, 2010

Truth of Life

Zindagi jo sikhati hai usse experience kehte hain
Zindagi jab rulati hai usse aane waali khushi kehte hain
Jo inn lafzon ki ehmiyat ko samjhe woh insaan hai
Aur jo naa samjhe usse musibat ka maara kehte hain....

chand se chandni hai
toh pathar se aag
jal jaye woh shama hai
jo mitjaye woh hai raakh.....
khilti gulab se hai khushi
toh zindagi se matlab
hasti hui raahon se hai mitti
toh maryaadon se kitab....
bebuniyaand riston ki saugaat
toh jalte hue aarmaan
dilon ki  yeh simaayen
toh jasbaaton ki baraat....
alfaazoon ke baadal
simat jaate hai jab dilon mein
aankhon ki nami ban jaati hai zindagi
aur zindagi ban jaati hai raakh....



Kiston ke kagaz hai
riston ke bandhan
suli chadthi hai
armaano ke aangan......
jalte hain kai zindagi
bante hain naye ristey
ubharti hai nayi bandagi
bebuniyaadon ke kisse.....
sikkon ke do pehlu
batati hai naseeb
banati hai manzilein
apno ko kareeb.....
ruthon ko hasi
dilon ko karar
apno mein rehti hai
ek choti si takraar......
sambhale apne dilko
sambhale apne ristey
daman naa chode apni
zindagi ki apni yeh chahat.......

4 comments:

Mak said...

It really beautiful.. it touched my heart as i feel its a part of my life....

pramita mishra said...

Nicely Expressed !!

Baby Elu said...

Very well expressed dear...

While reading this it reminded me of a quotation by a famous Actor and Governor - Arnold Schwarzenegger.. It goes like this...

“Strength does not come from winning. Your struggles develop your strengths. When you go through hardships and decide not to surrender, that is strength.”

Keep writing.... ;)

Sumit Kumar said...

sweet and touching lines... I wish you get all the good parts.