Tuesday, November 16, 2010

Aashayein......

Aankhon mein naya sapne sajake
Nikli thi ghar chodke
Dil mein ek ajeeb si hulchul ke saath
Dhundne chali thi apni manzilien.....


Raahon ko pata tha mera aana
Bichha ke rakhe the usne kayi kaante
Naa dagmagaungi  mein sochke
Chal padi thi unn rahon pe akele.....


Aashaon ko apni kiran
aur hoslon ko apni himmat banake
rakh diya apne kadam
unn jalte sholon ke kaanto pe........


Dagmagaya mera kadam ek baar
Tutgayi meri himmat
Bas aankhein moond ke
Phirse ki ek guzaarish........


Dekhun jab mein aankhein kholke
Halki roshni se mulakaat hui
Mann se buland hoke
Bikharte himmat ko sambhali.....


Kathinaayi aur musibaton se joojhi akele
Tab samajh mein aaya zindagi ke matlab
Pyaar, mohabaat,pariyon ki kahani
Bas achhe lagte kitabon mein......


Naa haarungi kabhi inn raahon par
chal padi sapno ko haqueeqat banane
Jeet ko apni mehandi banake 
Aur kaaton ko dulhan si sazake


Taqdeer bas meri hogi.......
Hogi toh bas Aashayein..........

                          By Aradhana Sabat

4 comments:

pramita mishra said...

Amazing yaar!!! your poems r just lovely!!

Baby Elu said...

Aashayein.... wah wah....

u know wat this is one of my favorites.....

Hats off to u.... !!

Aashayein, Umeedein aur Himmat kabhi mat chodna.... Success will wag its tail n follow u.... ;)

rathasima said...

i like this...but...i want some thing lively..some thing...when u read smile comes on ur face...good going

Sumit Kumar said...

Bahut achcha hai par tu happy haapy wala bhi poem likha kar na. Let me see how good your happy rhyme will be.